Monday, December 22, 2008

Mumbai Trasadi


Mumbai ki trasadi par,
Jab pura bharat roya tha,
"Aamchi Mumbai" ratne wala,
"Saamna" karne ke bajay,
Peeth fer kar, muhh dhaank kar soya tha.

"Uttar-Paschim" ke bhed bhaav ki,
Baatien karta jo humse,
"Raj" humara kehne wala,
Kahan chhip gaya  woh "Manse".

Raajneeti ke makadjaal mein,
Logon ko uljhate ho,
Apni dhafli baja baja kar,
Besur raag sunate ho.

Nafrat ki fasloon ko,
Aatanki aujaaron se kato mat,
Do tukdo mein bate desh ko,
Kayee tukdo mein baato mat.

"Maha-Rashtra" ki soch rakho, 
Rashtra dharm ka dhyaan karo,
Veer shahidon ki kurbani ka,
Tan man se samman karo.

- Views expressed by Mahesh Vyas, 03/12/08